Bazo dawa kya hai ar kon dair kar sakta hai?

Online Questions & AnswersBazo dawa kya hai ar kon dair kar sakta hai?
Bajjash asked 3 years ago
3 Answers
Shahzaib Abdullah Shahzaib answered 3 years ago
Restitution of conjugal rights
Adv. SK Salarzai Salarzai answered 3 years ago
Bazo dawa kon dair kar sakta hai?
It means restitution of conjugal rights,
Wo khawand jo apni rooth kr meke jane wali bivi ko wapis lana chahta hai or uss ki bevi wapis nahi aati ya wo kisi or ko pasand karti hai or wapis ane se ankari hai.
Benefits of Bazo Dawa ke
1. iss dawa ka sab se bara benifit yeh hota hai ke ya tu bewi wapis aa jati hai ya phir court main inkar kar deti hai .or admi jo ke us ke intazar main hota hai dosri shadi karne wala banta hai.
2. dosra faida yeh hota hai ke agar bewi court main ghar basane se inkar karti hai tu wo haqmehar se dastbardar ho jati hai yani wo dobara haqmehar ka dawa nahi kar sakti.
3. tesra faida yah hai ke aggar bivi iss dawa main court main pesh nahi hoti or dawa yaktarfa admi ke haq main ho jata hai tu biwi dubara khawand par koi case nahi kar sakti.

Dawa dair karne ke liye kin documents ki zaroorat hoti hai
1. copy id card khawand
2. copy nikh nama optional (agar available na ho tu affidavit se bhi kam chalia ja sakta hai)
3. do gawah (agar do na hun tu aik se bhi kam chalya ja sakta hai)
Proceedure of this case
1. Tamam dacoments le kar lawyer ke pass jate hain
2. or tamam waqiat ki makaml tafseel likhwa di jati hai
3. unhi wakiat ki bina par app ka case draft ho jata hai
4. us ke baad us ko family court main dair kar dia jata hai
5. Phir next date par tamam notices bama Ikhbar Ishtahar biwi ke address par bhaij diye jate hain
6. Aik ya do dates tak agar biwi khud or through council (wakil) pesh nahi hoti tu us ka jawab ka haq struck off kar dia jata hai
7. or us ke baad khawand or us ke gawahan ki gawahi ke baad case yaktarfa khatam ho jata hai
Conclusion;
agar biwi waqat par court main ya apne council (wakil) ke through pesh hu jati hai tu phir, case apne procedure se chalta hai or nateeja ya biwi wapis aa jati hai ya phir apna haqmahr chor kar ane se inkar kar deti hai

Shahzaib Abdullah Shahzaib answered 4 months ago
Suit for restitution of conjugal rights.